Lyrics once again...
kaise yeh khaamoshi , kaise yeh duniya,
na koi khawish, nadarad sub arman,
na koi aahat na muskurahat
arzoo khatam thi bus khaalipan tha,
main kho chuki thi, sub ko pata tha,
kaise thi yeh duniya,kaisi thi khamoshi
hmmm hm hm hm
kuch shor suna toe ,hal chal hone lagi....
kaun hai woh jis ke kadmon ki aahat sunai dene lagi...
begana tha woh w , ab apna lagne laga.....
gazab ki hul chul hai ,
mera badan ab mehakne laga......
phool ban gayi hoon , main khil uthi hoon,
jab se woh mere saath chalne lage......
kaisi ab yeh dunia,kaisi ab khaoshi,
veerana bhi ab khoobsurat lagne laga.....
ab kaisi khamoshi, ab kaisi khalipan
hmm hm hm hm...
dekho to mujh ko , meri saanson ko soongho,
bus un ki hi mehak aane lagi....
ab na koi gum na koi fikar hai,
bus un ki bahon mein main simat jane lagi.....
meri muskurahat ko dekho , meri aankhon mein dekho
woh aub yeh bayan karne lagi....
main kho chuki hoon , un ki ho chuki hoon,
ab kaisi khamoshi,ab kaise nadarad arman,
hmm hm hm hm
copyright(c)alka narula
phoyo credit phoyo bucket
Again wah wah. Bahut badiya geet likha hai aapne.
ReplyDeletepostingan yang bagus,,,,,,,,,,
ReplyDeleteCute is the first word that comes to my mind.
ReplyDeleteWell written :)